People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 8 *

dil deewana dil mastana mane na
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Aawaaz(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aawaz/Dil-Diwana-Dil-Mastana-
dil deewana dil mastana mane na
lagi bujhana bura jamana jane na
suna suna pehlu hai dildar kaha
bhigi bhigi rato ka wo pyar kaha
dil deewana dil mastana mane na
lagi bujhana bura jamana jane na
suna suna pehlu hai dildar kaha
bhigi bhigi rato ka wo pyar kaha

raste pe teri meri pehli mulakat huyi
akhiyo se akhiyo ki wo jo ek bat huyi
raste pe teri meri pehli mulakat huyi
akhiyo se akhiyo ki wo jo ek bat huyi
usi mithi bat pe ye dil aabad hai
usi mithi bat pe ye dil aabad hai
akhiyo se akhiyo ki wo jo ek bat huyi
usi mithi bat pe ye dil aabad hai
usi mithi bat pe ye dil aabad hai

pyar ka jo dukh uthaya apna hi kusur hai
tera koyi dosh nahi dil majbur hai
pyar ka jo dukh uthaya apna hi kusur hai
tera koyi dosh nahi dil majbur hai
apna jaha to apne hatho barbad hai
apna jaha to apne hatho barbad hai

dil deewana dil mastana mane na
lagi bujhana bura jamana jane na
suna suna pehlu hai dildar kaha
bhigi bhigi rato ka wo pyar kaha
arraa ram tarraa ram
Singer: Kishore Kumar
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Aawaaz(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aawaz/Aararam-Tararam/FyMjcDx
arraa ram tarraa ram arraa ram tarraa ram
duniya ke kaise kaise gam kahi jyada kahi kam
kahi jyada kahi kam kahi jyada kahi kam

koi kahe mera piya ghar aaye na
kisi ka nikathu miya paisa laye na
lale ko ye dar paisa koi khaye na
are budhe ko fikar budhi bhaag jaye na
zakhmi jigar hai dar hai fikar hai
sab gadbad hai nikle hai dam
khote aallaa ki kasam vayi vayi vayi vayi
zakhmi jigar hai dar hai fikar hai
sab gadbad hai nikle hai dam
kkhote aallaa ki kasam kahi jyada kahi kam
kahi jyada kahi kam
arraa ram tarraa ram arraa ram tarraa ram
duniya ke kaise kaise gam kahi jyada kahi kam

majnu ne kholi bhaiya pyaar ki dukaan
laila maange majnu se dil ka lagaan
koi roye dukh se lagaye koi taan
ek mr shamshaan jaaye duja kabristaan
koi butler hai koi afsar hain
sab gadbad hai nikle hai dam
kkhote aallaa ki kasam vayi vayi vayi vayi
koi butler hai koi afsar hain
sab gadbad hai nikle hai dam
kkhote aallaa ki kasam kahi jyada kahi kam
kahi jyada kahi kam
arraa ram tarraa ram arraa ram tarraa ram
duniya ke kaise kaise gam kahi jyada kahi kam

duniya ki aisi taisi duniya hai kya
khel ghadi bhar ka hai toot jayega
tera mera dukh nahi pyaar ke siva
aankh jaha band hui ta ta ta
jeena pal bhar hai fir mar mar hai
sab gadbad hai nikle hai dam
khote aallaa ki kasam vayi vayi vayi vayi
jeena pal bhar hai fir mar mar hai
sab gadbad hai nikle hai dam
khote aallaa ki kasam kahi jyada kahi kam
kahi jyada kahi kam
arraa ram tarraa ram arraa ram tarraa ram
duniya ke kaise kaise gam kahi jyada kahi kam
arraa ram tarraa ram duniya ke kaise kaise gam
kahi jyada kahi kam kahi jyada kahi kam
kahi jyada or kahi
ulfat ke hai kaam niraale
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Aawaaz(1956)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aawaz/Ulfat-Ke-Hain-Kaam-Nira
hasrat-o-yaas ko le kar shab-e-gam aayi hai
bheed hi bheed hai tanhayi hi tanahayi hai

ulfat ke hai kaam niraale ban ban ke bigad jaate hai
kismat me na ho to saathi mil mil ke bichad jaate hai
ulfat ke hai kaam niraale

ummide bhi hai ek sapna duniya me nahi kuch apna
ummide bhi hai ek sapna duniya me nahi kuch apna
aansu hai to beh jaate hai arman hai to sad jaate hai
ulfat ke hai kaam niraale

awaaz uthi hai dil se bedard zamane sun le
awaaz uthi hai dil se bedard zamane sun le
kal tu bhi ujad jayega ham aaj ujad jaate hai
ulfat ke hai kaam niraale ban ban ke bigad jaate hai
kismat me na ho to saathi mil mil ke bichad jaate hai
ulfat ke hai kaam niraale
Yaad Na Kar Dil-E-Hajin
Singer: Surendra
Lyricist: Zia Sarhadi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Deccan-Queen/Yaad-Na-Kar-Dil-
yaad naa kar dil-e-hajin bhuli huyi kahaniya
yaad naa kar dil-e-hajin bhuli huyi kahaniya
yaar ki bazm-e-naaj me gujri hui javaniya
yaar ki bazm-e-naaj me gujri hui javaniya
yaad naa kar dil-e-hajin

teri bala me jaan-e-ja rote hain ham to kya hua
teri bala me jaan-e-ja rote hain ham to kya hua
rote hain ham to kya hua
ishk me yu hi be-suku katti hain jindganiya
ishk me yu hi be-suku katti hain jindganiya
yaad naa kar dil-e-hajin

aapko mujhse ishk tha isliye aap chup rahe
aapko mujhse ishk tha isliye aap chup rahe
isliye aap chup rahe
kahti rahi dabe jubaa aapki bejubaniya
kahti rahi dabe jubaa aapki bejubaniya
yaad naa kar dil-e-hajin bhuli huyi kahaniya
yaad naa kar dil-e-hajin
Ek Anokha Gham
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Nadan/Ek-Anokha-Gham/Hx0NCD0dBXA
Video:
ek anokha gham
ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
jinko dekha tha mujhe unse mohabbat ho gayi
jinko dekha tha mujhe unse mohabbat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi

shath hai jinke chale jane ka gham to raat din
shath hai jinke chale jane ka gham to raat din
jab se aayi hai jawani ek mushbat ho gayi
jab se aayi hai jawani ek mushbat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi

pehle vo halat ke angaro pe hum to karte the jiya
pehle vo halat ke angaro pe hum to karte the jiya
ab to jamaana hum pe hasta hai ye haalat ho gayi
ab to jamaana hum pe hasta hai ye haalat ho gayi
haye ek anokha gham anokhi musibat ho gayi
Raushani Apani Umangon
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/album/hindi/Nadan-1943/udZTcVgw-JY_
Video:
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
apni qismat ke diye hum khud bujhaa kar chal diye
apni qismat ke diye hum khud bujhaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye

jinse milne ki duaa karte rahe hum umr bhar
jab wo pahuche hum nazar apni jhukaa kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye

wo teri qismat se ban jata hai dushman tera dost
wo teri qismat se ban jata hai dushman tera dost
hum yaha har dost ko dushman bana kar chal diye

dekhne aur sunane waalo ko pasand aaye na aaye
dekhne aur sunane waalo ko pasand aaye na aaye
jo kisi dil ki kahaani hum suna kar chal diye
jo kisi dil ki kahaani hum suna kar chal diye
raushani apni umango ki lutaa kar chal diye
Ab Toh Nahi Duniya Mein
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Nadan/Ab-To-Nahin-Duniya-Mein/QiICayddR0E
Video:
ab to nahi dunya me kahi
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana

ab kisse kahe kaun sune
apna fasana, dushman hain jamana
ab kisse kahe kaun sune
apna fasana, dushman hain jamana

mana ke ham ek tarah se lachar huye hain
mana ke ham ek tarah se laachar huye hain
sab kaam hamare liye dushvar huye hain
sab kaam hamare liye dushvar huye hain
lekin kabhi kadmo se dare hain na darenge
lekin kabhi kadmo se dare hain na darenge
sab kah ke rahenge gam jayenge takdir ke
tiro ka nishana, dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana

aaye gaye jab isime to royenge hasenge
aaye gaye jab isime to royenge hasenge
is pal ko jiyenge
soyi huyi takdeer ko aata hai jagana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
ab to nahi duniya me kahin
apna thikana, dushman hain jamana
dushman hain jamana
Dil Du Ke Na Du
Singer: Noor Jahan
Music: K. Dutta
Lyricist: Zia Sarhadi
Album: Nadaan(1943)
Tag: Hindi
Video:
dil du ki naa du, dil du ki na du
dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
ae ae ae ae
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha

mumkin hain mumkin hain ki
dil lete hi fauran wo badal jaaye
mumkin hain mumkin hain ki
dil lete hi fauran wo badal jaaye
barsaat ke mausam me, mujhe dur na karna
barsaat ke mausam me, mujhe dur na karna
kahte hain bura hota hain, har shak ka natija
kahte hain bura hota hain, har shak ka natija
aa aa aa aa
dil du ki na du, dil du ki na du
baato pe kua inke bharosha
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
wada to wo karte hain, vafa mujhse karenge
jholi meri ummid ke phulo se bharenge ae
dil du ki na du